Algeria Mein Jungli Aag Ka Kahar, 12 Halak 54 Zakhmi

Shumali Algeria ke junglon mein bhayankar aag lagne se kam se kam 12 logon ki maut ho gayi aur 54 log zakhmi hue hain. Shadiid garmi aur tez hawaon ke baais aag ne 154 ilaqon ko lapet mein le liya. Jijel, Bejaia aur Tizi Ouzou mein sabse zyaada tabahi hui hai. Rahat aur bachao ka kaam jaari hai.