Prayagraj Mein Ganga-Yamuna Ka Paani Badha, Hazaron Ghar Doobe

Uttar Pradesh ke Prayagraj mein Ganga aur Yamuna nadiyon ka jalstar tezi se badhne ke baad nichle ilaqon mein baadh ka paani ghus gaya hai. Isse hazaron log prabhavit hue hain aur saikdon ghar paani mein doob gaye hain. Prashasan ne rahat aur bachao karyawahi shuru karke logon ko surakshit jagahon par bhejna shuru kar diya hai.