
Vande Mataram Par Owaisi Ka Sawaal, Modi Gandhi Se Aqalmand Hain?
AIMIM sadar Asaduddin Owaisi ne poora Vande Mataram zaroori karne par sarkar par nishana sadha hai. Unhone kaha ki azadi ke waqt Mahatma Gandhi aur Tagore ne sirf do band padhne par ittefaq kiya tha. Owaisi ne sawaal uthaya ki kya Modi Gandhi se zyada aqalmand hain? Unhone kaha ki kisi par aisa aqeeda na thopa jaye.