
Karnataka Mein 44 Saal Purana Pul Tuta, 15 Gaon Kat Gaye
Karnataka ke Konigarahalli mein Vedavathi nadi par bana 44 saal purana pul gir jane se 15 se zyaada gaon ka sampark toot gaya hai. Is pul ka udghatan 1980 mein hua tha. Pul tootne se hazaron logon ki aawajaahi thap ho gayi hai aur gramin naye pul ki maang kar rahe hain.