
Darul Uloom Deoband Par Naya Vivad, Security Alert
UP ke Saharanpur me Darul Uloom Deoband ko lekar naya vivad shuru ho gaya hai. Hindu Raksha Dal ne campus me Shivling hone ka daawa karte hue 11 August ko Ganga jal charhane ka elan kiya hai. Iske baad prashasan ne security bada di hai. Police ne saaf kaha hai ki mahaul kharab karne walon par sakht karwai hogi.