
Ganesh Utsav Mein Kholte Sambar Mein Girne Se Aurat Ki Maut
Andhra Pradesh ke Vijayawada mein Ganesh Utsav ke Annadanam karyakram ke dauran dardnak hadsa hua. 46-saal ki Sujatha naam ki mahila kholte hue sambar ke bade bartan ko uthate waqt santulan khokar usme gir gayi. Gambhir roop se jhulasne ke baad unhein hospital mein bharti karaya gaya, jahan ilaj ke dauran unki maut ho gayi.