Gender Equality Par Grand Mufti Ka Bada Bayan, Macha Bawaal

India ke Grand Mufti Sheikh Abubakr Ahmad ne gender equality ko ghair-islami batakar naya vivad khada kar diya hai. Unhone kaha ki aurton ka asli kaam ghar ki dekhbhal aur bachhon ki parvarish karna hai. Unke is bayan ke baad social media aur political halqon mein mahilaon ke adhikar par behas chhid gayi hai.