Greater Noida flats mein aawara kutton ka aatank

Greater Noida ki Gaur City-2 society mein ek hairat-angez waqiya samne aaya, jahan do aawara kutte elevator chadh kar seedhe third floor ke flat mein ghus gaye. Ye hadsa tab hua jab maid safai kar rahi thi aur darwaza khula tha. Ghar mein chhota bachha so raha tha, jisse log kafi pareshan huve, aur society ki security par sawal utha rahe hain