
GST Bachhat Utsav Par Ravish Kumar Ka Sawal
Ravish Kumar ki nai video mein, wo puchte hain ki sarkar 8 saal baad GST ke effects par data kyun nahi dikha rahi. Sarkar ne “Bachhat Utsav” ka promotion kiya, lekin middle class ki kamai nahi badh rahi, isliye savings ka fayda limited hai. Rahul Gandhi aur Nirmala Sitharaman dono ne dukaandaron se milke GST par feedback liya par zameeni haqeeqat yeh hai ki kaafi cheezein sirf akhbaaro tak seemit hain. Ravish kehte hain – daamon me nominal kami hai, lekin asli relief tabhi aayega jab aamdani bhi badegi.