Janiye Kya Hai UAPA Kanoon Aur Yeh Kyun Lagta Hai?

Unlawful Activities Prevention Act (UAPA) Bharat ka ek sakht aatankwad-virodhi kanoon hai. Iska maqsad mulk ki salmati aur ekta ko khatre mein dalne wali sargarmiyon ko rokna hai. Is kanoon ke tehat kisi bhi tanzeem ya fard ko aatankwadi ghoshit kiya ja sakta hai aur ismein zamaanat milna bahut mushkil hota hai.