
Justice Chandrachod ke Babri Masjid Par Bayan
Former Chief Justice of India, DY Chandrachod ne kaha hai ki Babri Masjid ka nirmaan apne aap mein ek “fundamental act of desecration” tha. Unhone bataya ki 2019 ke Ayodhya verdict mein kanooni sabooton ke aadhaar par faisla diya gaya tha, na ki sirf dharmik astha par. Chandrachod ne clarify kiya ki unke shabdon ko social media par galat tarah se samjha gaya. Unhone kaha ki nyayalay ke faisle mein saboot hi sabse mahatvapurna hain, aur unka personal opinion nahi.Is bayan ke baad media mein aur samaj mein iskaafi charcha hui, lekin Chandrachod ne apne statements ka pakka samarthan kiya.