
Khar Ke Samandar Mein Koodne Wala Shakhs Bachaya Gaya
Mumbai ke Khar ilaqe mein 31 saal ke ek shakhs ne samandar mein kood kar jaan dene ki koshish ki. Waqia camera mein qaid hua. Mumbai Police ke jawanon ne foran karwai karte hue use samandar se zinda bahar nikaal liya. Police ki tez karwai se oh shakhs ki jaan bach gayi.