Mumbai Local: Baarish Me Darwaza Band Karne Par Qatl

Mumbai local train ke first class dibbe me 22 saal ke Mayank Lohar ka berahmi se qatl kar diya gaya. Baarish ke dauran train ka darwaza band karne ko lekar doosre passenger se behas hui thi. Gusse me aakar aaropi Roshan Suvarna (30) ne Mayank par chaku se hamla kiya. Police ne aaropi ko giraftar kar liya hai.