Sadak Choudeekaran Ki Zad Mein Aaya CM Mohan Yadav Ka Paaitrik Makan

Ujjain mein Simhastha 2028 ki tayyariyon ke tehat sadakon ko chouda karne ka kaam zor-shor se chal raha hai. Is dauran Madhya Pradesh ke Chief Minister Dr. Mohan Yadav ka paaitrik ghar bhi sadak choudeekaran ki zad mein aa gaya hai. Prashasan ne sabhi ke liye ek saman niyam apnate hue unke ghar par bhi nishan lagaya hai.