
Samundari Lutere Ka Kabza: 22 Bhartiya Navik Surakshit
Yemen aur Somalia ke paas samundari luteron ne do jahazon par kabza kar liya. In jahazon par kul 22 Bhartiya navik mawjood hain. Bharat sarkar ne bataya ki sabhi 22 navik poori tarah surakshit hain. Videsh Mantralaya sthaniy afsaron ke sampark mein hai taaki unki suraksha aur wapsi ho sake.