Students ke protest ne badla desh ka national agenda

Maulana Sajjad Nomani ne student protest ki tareef karte hue kaha hai ke in koshishon ne desh ka mudda masjid-mandir se hata kar asli maslon par shift kar diya hai. Ab education, berozgari aur mehangai par baat ho rahi hai. Unhone student shakti ko salaam pesh kiya aur musalman naujawanon se appeal ki ke woh apni islami shanakht aur aqdaar ko barkarar rakhte hue desh ke mufad mein har jaiz protest mein bar-chadh kar hissa lein.