Suvendu Adhikari ‘Sanatani Hindu’ hone ka daava karte huye Kalighat mandir mein machli ka bhog khaya

West Bengal ke CM Suvendu Adhikari ne Kaushiki Amavasya ke din Kolkata ke Kalighat mandir mein puja ki aur Maa Kali ko chadhaaye gaye machli ke bhog ko khaya. Is dauraan unhone Maa Kali ko Banarasi saree aur phool bhi chadhaaye. Baad mein, mandir parisar mein baith kar unhone basanti pulao, fish fry aur machli ka sir prasad ke roop mein swikar kiya. Bengal mein non-veg khane ko lekar chale vivaad ke maddhenazar unka yeh daura hua. Adhikari ne kaha ki dharmik parampara Bengali food culture ke saath coexist kar sakti hai. Unhone kaha, “Main ek Sanatani Hindu hoon. Main Navratri aur Kartik maas mein sattvik bhojan karta hoon. Saath hi Maa Kali ko chadhayi gayi machli aur bakre ke meat ko bhi swikar karta hoon.” Unhone Bageshwar Dham ke pramukh Dhirendra Shastri ki non-veg comment ka bhi zikr kiya.