Train Mein Sone Ka Railway Ka Pakka Niyam

Railway ke mutabiq raat 10 baje se subah 6 baje tak sone ka waqt maana jata hai. Is dauran beech wali berth kholkar soya ja sakta hai. Din mein berth band rakhni hoti hai, taake neeche aur beech wali berth ke musafir baith saken. Raat 10 baje ke baad TTE bina wajah ticket jaanch ke liye pareshan nahi kar sakta.